No Image Available

Aas

 Author: Bashir Badr  Category: Nazm  Language: Urdu  File Size: 1.9 MB  Tags: GhazalNazmpoemspoetryUrdu |  Download PDF
 Description:

Aas By Bashir Badr,  contains 67 poems about love, prayer, life

First Poem:

Ibaadaton ki tarah main ye kaam karta hun,
Mera usool hai pehle salaam karta hun.

Mukhaalifat se meri shakhsiyat sanwarti hai,
Main dushmanon ka bada ehtaraam karta hun.

Main apni jeb mein apna pata nahin rakhta,
Safar mein sirf yahi ehtemaam karta hun.

Main dar gaya hun bahut sayadaar pedon se,
Zara si dhoop bichha kar qayaam karta hun.

Mujhe khuda ne ghazal ka dayyar bakhsha hai,
Ye saltanat main mohabbat ke naam karta hun. !!

Famous Poem:

Aas Hogi Na Aasraa Hoga
Aane Waale Dinon Men Kya Hoga

Main Tujhe Bhool Jaaoonga Ik Din
Waqt Sab Kuchh Badal Chukaa Hoga

Naam Ham Ne Likhaa Tha Aankhon Men
Aansuuon Ne Mitaa Diyaa Hoga

Aasamaan Bhar Gaya Parindon Se
Ped Koi Haraa Giraa Hoga

Kitana Dushwaar Thaa Safar Us Kaa
Wo Sar-E-Shaam So Gayaa Hoga

About the Poet:

  • Bashir Badr (Syed Muhammad Bashir) was born on 15 February 1935
  • It is believed that he started writing Shers at an early age of seven
  • He knows Persian, Hindi and English as well.
  • Bashir has written more than 12,000 Shers and 72 of his Shers have also been marked memorable.
  • Aas’, the award winning collection of 69 Ghazals is the jewel in the poetic crown of Bashir Badr

 


 Back